Escuchar "Maine Poochha Chand Se (From "Abdullah")" Amazon Music Unlimited (ad) Prueba Gratis 30 días

Letra de Maine Poochha Chand Se (From "Abdullah")

Maine poocha chaand se ki dekha hai kaheen Mere yaar sa haseen Chaand ne kahaa, "chaandanee kee qasam Nahin, nahin, nahin...Maine poocha chaand se ki dekha hai kaheen Mere yaar sa haseen Chaand ne kahaa, "chaandanee kee qasam Nahin, nahin, nahin... Maine poocha chaand seMaine ye hijaab tera dhundha Har jagah shabaab tera dhundha Kaliyon se misaal teri poochi Phulon mein jawab tera dhundhaMaine poocha baag se falak ho ya zameen Aisa phool he kahin Baag ne kahaa, "har kalee kee qasam Nahin, nahin, nahin... Maine poocha chaand seHo, chaal hai ki mauj kee ravaani Zulf hai ki raat kee kahaani Hoth hain ki aaine kanval ke Aankh hai ki maykadon kee raaniMaine poocha jam se falak ho ya zameen Aisi may bhi he kahin Jam ne kahaa, "mayakashi kee qasam Nahin, nahin, nahin... Maine poocha chaand seKubsuurati jo tune pai Lut gai khuda kii bas khudaai Mir kee ghazal kahoon tuje main Ya kahoon khayyam kee rubaae?Main jo poochhun shaayaron se aisa dil-nashin Koi sher he kahin Shaayar kahen, shaayari kii kasam Nahin, nahin, nahin...Maine poocha chaand se ki dekha hai kaheen Mere yaar sa haseen Chaand ne kahaa, "chaandanee kee qasam Nahin, nahin, nahin... Maine poocha chaand se